khoobsoorat see hai too apnee tarah
kaisee aur se kaise chehraa milaoon
kisee khab ka koyee ahsas hai too
tujhe dekahne main neendon men jaoon
ye dil boltaa hai teree har udasee
mere man men rakh loon ansu bahaoon
zamee se falaq tak rahega jo kayam
koyee aisa tujh se main rishtaa banaoon
badhaa doon jo ye hath tere samane men
hathelee men meree teraa hath paaoon
kisee kee nahee hai apnee to hai too
tujh ko main kaise rujh se hee churaoon?
khoobsoorat see hai too apnee tarah
kaisee aur se kaise chehraa milaoon
4 comments:
khoobsoorat see hai too apnee tarah
kaisee aur se kaise chehraa milaoon
..khoobsurat khayal...bahut khoob!
खूबसूरत सी है तू अपनी तरह
किसी और से कैसे चेहरा मिलूं
वाह बहुत खूब लिखा है आपने, मन भाया.
शुभकामनायें
shukriya kavita rawat
prrity shukriya
Post a Comment